zist ke paikar mein jab marbut ho jata hun main ban ke dasht-e-la-makan lahut ho jata hun main mere banne ka tamasha dekhiye ki kis tarah tutta hun tut kar mazbut ho jata hun main jaane kya padh kar wo mujh par phunkta hai zor se dekhte hi dekhte yaqut ho jata hun main aasman se jab utarta hun main ban ke dewta phir gunahon ke tale haarut ho jata hun main lakh chahun tod dalun hath hi uthte nahin kuchh buton ko dekh kar mabhut ho jata hun main marg-e-mabram sath le aati hai jab jab zindagi phir kafan loban aur tabut ho jata hun main