fusun-zada hain hawaen manzar tamam mashur chup paDe hain

fusun-zada hain hawaen manzar tamam mashur chup pade hain
siyah nairang nim-shab ka sitare jhuk jhuk ke dekhte hain

sahar ki lau mein jala rahi hai saba kanwal rang-o-bu mein tar hain
darakht sare sajae moti ki thaaliyan saf-ba-saf khade hain

hazar raaten guzar gain ek hamare hi gham ki shab na guzri
ujale khaif siyah-kade se badal ke rasta nikal rahe hain

dhadakte dil jaisi saaton wale roz-o-shab ab kahan se laen
gire hue khushk mausamon mein na jaane kab ke wo kho chuke hain

is ek hi zindagi mein kitne janam liye bar bar hum ne
aur ab ye roz jaan de de ke kyun jiye baithe sochte hain

haqiqaten yun nahin badaltin ba-khubi malum hai hamein bhi
farar hone ko khud se kuchh khwab-zar phir bhi bana liye hain

khud apni khwahish pe jaan dene ka nam rakkha hai ishq-o-ulfat
hua hawas mein ye khud-farebi ke jal kya dil-nashin bune hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close