ab aise dasht-mizajon se dur ghar liya jae bajae hasrat o girya kuchh aur kar liya jae main haw-hu pe kahani ko khatm kar dunga ye aam baat nahin hai, ise khabar liya jae ye nukta ishq-nagar ne mujhe kiya talim ki jis ko zer kaha jae wo zabar liya jae hamein ye ishq bahut ras aane lag gaya hai to kya khayal hai, phir dusra bhi kar liya jae main apne dost ke pahle hadaf se waqif tha ye be-dhyani nahin meri, darguzar liya jae