har ek shai ki haqiqat se ba-KHabar dekhun

har ek shai ki haqiqat se ba-khabar dekhun
main apni khak mein pinhan tujhe bhi gar dekhun

ye kya ki hat badhaun to sang-reze milen
kahin to main bhi damakte hue guhar dekhun

ho aankh mein kisi chehre ka dubta manzar
main paniyon mein muqayyad kisi ka ghar dekhun

tamam umr usi sae ki talash karun
ki jis ko dekhna chahun to dar-ba-dar dekhun

nazar ke samne jab ho na koi tere siwa
main teri samt na dekhun to phir kidhar dekhun

hai aarzu yahi 'asif' ki rah-e-zulmat mein
use bhi apni tarah main kabhi nidar dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close