gardish-e-dauran se yahan kis ko faragh aaya hai hath han magar aaya to ek hasrat ka dagh aaya hai hath nauha-sanji ki bhi mohlat andalibon mein nahin baghban qismat se kya hai be-dimagh aaya hai hath umr guzri justaju-e-kucha-e-dil-dar mein wae-nakaami pas-az-murdan suragh aaya hai hath dil ke daghon ne kiya hum ko chaman se be-niyaz mannaten mani hain barson tab ye bagh aaya hai hath dagh dil par nala lab par chashm giryan sina rish 'ashiq'-e-shorida ko kis dam faragh aaya hai hath