hum jo mahfil mein teri sina-figar aate hain rang-bar-dosh gulistan-ba-kanar aate hain chaak-dil chaak-jigar chaak-gareban wale misl-e-gul aate hain manind-e-bahaar aate hain koi mashuq sazawar-e-ghazal hai shayad hum ghazal le ke su-e-shahr-e-nigar aate hain kya wahan koi dil-o-jaan ka talabgar nahin ja ke hum kucha-e-qatil mein pukar aate hain qafile shauq ke rukte nahin diwaron se sainkadon mahbas-o-zindan ke dayar aate hain manzilen daud ke rahraw ke qadam leti hain bosa-e-pa ke liye rahguzar aate hain khud kabhi mauj-o-talatum se na nikle bahar par jo sare zamane ko utar aate hain kam ho kyun abru-e-qatil ki kamanon ka khinchao jab sar-e-tir-e-sitam aap shikar aate hain