hum ko kya baat kar nahin aati

hum ko kya baat kar nahin aati
han agar aur magar nahin aati

us ke milne ki kya karun surat
koi surat nazar nahin aati

aate jate hain raat-din din-raat
shab-e-gham ki sahar nahin aati

aabru bhi hai aab moti ke
ja ke bar-e-digar nahin aati

badh ke bolo kabhi na bol bada
bad-ghadi bol kar nahin aati

kaisi paband waqt ki hai ajal
waqt se peshtar nahin aati

hai nazar dusron ke aibon par
khot apni nazar nahin aati

be-khabar apne haal se hun 'ata'
koi us ki khabar nahin aati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close