hum ko khuda ne dil diya dil mein diya gudaz-e-ishq bakhsha khuda ne aap ko husn-e-karishma-saz-e-ishq roab-e-jamal-e-yar se kham hai sar-e-niyaz-e-ishq husn ki bargah mein padhte hain hum namaz-e-ishq koi batae to hamein kis ko nahin hai aaz-e-ishq kaun hai is jahan mein be-gham-o-be-niyaz-e-ishq khak mein mil ke ishq mein milti hain sar-bulandiyan ho ke zalil-o-khwar ishq hota hai sarfaraaz ishq yara raha na zabt ka tab rahi na sabr ki aah-o-fughan ne kar diya fash hamara raaz-e-ishq zahid-e-na-shanas ka ishq se wasta hai kya kijiye aashiqon se hal masala-e-jawaz-e-ishq sanat-e-kirdgar par karta hun jaan-o-dil nisar rakhta hun sari umr se husn se saz-o-baz-e-ishq khata hai pahle dil ko ye panja-e-gham se noch kar karta hai aadmi pe war jis ghadi shah-baz-e-ishq hum wo rahe na dil raha dil mein na walwale rahe bazm-e-shabab uth gai band hai soz-o-saz-e-ishq husn mein un ke aur bhi tak gae hote chaar-chand kash ki hote wo kabhi dilbar-o-dil-nawaz-e-ishq