hurmat-e-ishq tujhe dagh lagane ka nahin

hurmat-e-ishq tujhe dagh lagane ka nahin
baat banti na bane baat se jaane ka nahin

ya-khuda khair ki hum donon ana wale hain
wo bulane ka nahin aur main jaane ka nahin

wahshati hun so gareban ko aa sakta hun
mujh se darne ka magar mujh ko darane ka nahin

budhe aasab kahan sahte hain aulad ka dukh
meri taklif meri man ko batane ka nahin

hum to ek aisi zamin par hain jahan lashen hain
tum ne jo naqsha diya tha wo khazane ka nahin

main azal ta-ba-abad aur abad ta-daim
is ka matlab main kisi ek zamane ka nahin

dars ye khas hamein aal-e-payambar se mila
sar katane ka magar sar ko jhukane ka nahin

main abu-bakr-o-ali wala hun 'yunus-tahsin'
mujh ko mulla ke masalik se milane ka nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close