usi harif ki ghaarat-gari ka dar bhi tha ye dil ka dard magar zad-e-rahguzar bhi tha ye jism-o-jaan teri hi ata sahi lekin tere jahan mein jina mera hunar bhi tha isi pe shahr ki sari hawaen barham thin ki ek diya mere ghar ki munder par bhi tha mujhe kahin ka na rakkha safed-poshi ne main gard gard utha tha to mo'tabar bhi tha isi khandar mein mere khwab ki gali bhi thi gali mein ped bhi tha ped par samar bhi tha main surkh-ru tha khudai ke ru-ba-ru 'yusuf' ki us ki chah ka ilzam mere sar bhi tha