is siyasat mein miyan aabaad ho jaane ke baad

is siyasat mein miyan aabaad ho jaane ke baad
mar gae kirdar zindabaad ho jaane ke baad

hum se achchha kaun shair tha yahan lekin janab
fikr-o-fan jata raha ustad ho jaane ke baad

wada karte the wafa jab tak pareshan-haal the
jaane kyun nazren badal lin shad ho jaane ke baad

na-gawari hai tujhe man bap ke andaz se
sab samajh aa jaega aulad ho jaane ke baad

ishq tum se ho gaya to qabr apni khod li
aur hum karte bhi kya farhad ho jaane ke baad

kya hamare khwab the daur-e-ghulami mein 'bilal'
kis taraf hum chal diye aazad ho jaane ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close