jab tujh araq ke wasf mein jari qalam hua aalam mein us ka nanw jawahar-raqam hua nuqte pe tere khal ke bandha hai jin ne dil wo daere mein ishq ke sabit-qadam hua tujh fitrat-e-buland ki khubi kun likh qalam mashhur jag ke bich atarad-e-raqam hua taqat nahin ki hashr mein howe wo dad-khwah jis be-gunah pe teri nigah sun sitam hua be-minnat-e-sharab hun sarshaar-e-imbisat tujh nain ka khayal mujhe jam-e-jam hua jin ne bayan likha hai mere rang-e-zard ka us kun khitab ghaib sun zarrin-raqam hua shohrat hui hai jab se tere sher ki 'wali' mushtaq tujh sukhan ka arab ta ajam hua