gar mere lahu rone ka baran banega kucha tera rashk-e-chamanistan banega gar us qad-e-mauzun ka tamanna mein asar hai barjasta meri baaton ka diwan banega us zulf ki gar lail baraat aawe mere hat dil ke mere daghon ka charaghan banega 'uzlat' tu kar us zulf-e-pareshan se ye dil jama zunnar ka shiraaza-e-quran banega