jo jaan se hai aziz use tu juda bhi rakh

jo jaan se hai aziz use tu juda bhi rakh
khushiyon ke munh mein dard bhara zaiqa bhi rakh

har rasta kahin na kahin mud hi jaega
rishton ke bich thoda bahut fasla bhi rakh

yun bhi na ho ki jo bhi uthe tujh mein jhank le
khud mein na yun simat koi dard-ashna bhi rakh

aisa na ho ki taza hawa ajnabi lage
kamre ka ek-adh daricha khula bhi rakh

shakh aur phul rishta-e-yak-lamha ke asir
apni talab ke samne ye aaina bhi rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close