tajalliyon se andheron ki jang jari hai ujale surkh-ru hon ye dua hamari hai jahan pe kal tha gulistan wo aaj maqtal hai falak khamosh hai phir dekhen kis ki bari hai sar-e-niyaz jhukana mohabbaten dena ye buz-dili nahin dar-asl khaksari hai rah-e-jumud se nafrat udan ki khwahish haqiqatan ye zarurat hai jaan-nisari hai ye gulistan hai hamari riyazaton ka samar ise sanwarne mein sab ki hisse-dari hai