kabhi masale rahe samne kabhi kashmakash rahi ru-ba-ru kabhi khud ko khone ka shauq tha kabhi tujh ko pane ki aarzu mere aansuon ke bahaw mein mera ghusl hota hai raat-din main wuzu karun bhi to kya karun mera baal-baal hai ba-wazu mere shauq mere junun ko kisi daere mein na qaid kar wahi shash-jihat mein hai la-ilah mujhe samt-e-kaba na khinch tu inhin chand taron ki ot mein koi husn-saz zarur hai jo hai kaenat pe mehrban jo hai aasmanon ki aabru ye niyaz-o-naz ye 'mehr' ab mere haal par ho kisi tarah isi gham mein rahta hun dar-ba-dar isi dhun mein phirta hun ku-ba-ku