faqat afsana-e-mazi ko dohrane se kya hoga

faqat afsana-e-mazi ko dohrane se kya hoga
amal bhi kar fareb-e-sar-khushi khane se kya hoga

abas zardar bal khata hai bal khane se kya hoga
zamana jaanta hai inqalab aane se kya hoga

bahaaron ki duaen kya na len nam-e-bahaaran bhi
chaman wale agar samjhen bahaar aane se kya hoga

haqiqi inqalab aa kar badal deta hai taqdiren
barae-nam hamdam inqalab aane se kya hoga

gulistan par na aanch aae gulistan phir gulistan hai
nasheman bijliyon ki zad mein aa jaane se kya hoga

dubo kar 'mauj' ki kashti ye zahir-dariyan nahaq
kaho maujon se sar sahil pe takrane se kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close