kakul ki tarah baKHt bhi bal khae hue hai

kakul ki tarah bakht bhi bal khae hue hai
kyun aaj muqaddar mujhe uljhae hue hai

zanjir-e-mehan panw mein pahnae hue hai
ya jalwa-e-jaanan mujhe bahlae hue hai

le jae mujhe su-e-chaman ab na bahaaran
dil qismat-e-zindan ki qasam khae hue hai

main band qafas mein hun magar fikr-e-nasheman
sine mein jigar dard se barmae hue hai

suljhegi na mashshatagi-e-aql-o-khirad se
wo zulf-e-junun jis ko ki uljhae hue hai

us ko bhi to mil jae zara husn ka sadqa
daman talab-e-dar pe jo phailae hue hai

ai 'nur' mujhe kuchh to bharosa hai zaban par
kuchh bakht-e-saadat mujhe garmae hue hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close