gham-e-paiham ki zindagi bhi mili gham mein ek lazzat-e-khafi bhi mili umr nauha-kunan rahi sari isi nauhe mein naghmagi bhi mili gharfashin shorishen guhaar dahad isi jangal mein simfani bhi mili ghup andheron ki rahguzaron mein kabhi chhan-chhan ke chandni bhi mili ik-na-ik rasta to sab ka hai ye na puchho ki rasti bhi mili yun bhi kya kam the rah-zanan-e-hawas rah mein biswin sadi bhi mili us andhere ka shukriya jis mein hum jo dube to raushni bhi mili hum ne mangi shaguftagi pai be-talab phir fasurdagi bhi mili umr-bhar qist qist marte rahe mar chuke jab to zindagi bhi mili