karte phirte hain ghazalan tera charcha sahab

karte phirte hain ghazalan tera charcha sahab
hum bhi nikle hain tujhe dekhne sahra sahab

ye kuchh aasar hain ek khwab-shuda basti ke
yahin bahta tha wo dil nam ka dariya sahab

tha yahi haal hamara bhi magar jagte hain
kya ajab khwab sunaya hai dobara sahab

sahal mat jaan ki tujh rukh pe khuda hote hue
dil hua jata hai gard-e-rah-e-duniya sahab

hum na kahte the ki us ko nazar-andaz na kar
aaina tut gaya dekh liya na sahab

yun hi din dub raha ho to khayal aata hai
yun hi duniya se guzar jate hain kya kya sahab

aabshaaron ki jagah dil mein kisi ke shab-o-roz
khak udti ho to wo khak likhega sahab

sach kaha aap ki duniya mein hamara kya kaam
hum to bas yunhi chale aae the achchha sahab

tum to kya ishq-e-bala-khez ke aage bahar
mir sahab hain badi chiz na mirza sahab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close