tu bhi hairan-o-pareshan hai thaka hun main bhi tere hamrah bahut dur chala hun main bhi tu bhi us but ki ziyarat ka sharaf hasil kar us ke qadmon pe kai bar jhuka hun main bhi tu bhi masruf khilaunon mein hai yaadon se pare ji ke bahlane ko kuchh dhund raha hun main bhi tera hi charcha nahin shahr mein bazaron mein kitne akhbar-o-rasail mein chhapa hun main bhi log diwana agar kahte hain to sach hai 'asad' apne bare mein yahi soch raha hun main bhi