KHalish ho jis mein wo arman talash karta hun

khalish ho jis mein wo arman talash karta hun
na nikle dil se jo paikan talash karta hun

kisi ki kakul-e-pechan talash karta hun
chaman mein sumbul-o-raihan talash karta hun

na jis mein daur-e-khizan ho na aashiyana jale
main koi aisa gulistan talash karta hun

khilaf-e-waza hai hadd-e-junun se badh jaana
tariq-e-chaak-gariban talash karta hun

main is talash ke qurban fasana-e-dil ko
main roz ek naya unwan talash karta hun

na koi shama hai raushan na raqs-e-parwana
sukun-e-gor-e-ghariban talash karta hun

jo hadsat ki aandhi mein bhi rahe raushan
main aisi sham-e-farozan talash karta hun

kabhi kalim ne dekha tha tur par jalwa
wahi main jalwa-e-jaanan talash karta hun

wo shah-rag se bhi nazdik shams' rahta hai
jise ba-koh-o-bayaban talash karta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close