hai ishq to phir asar bhi hoga jitna hai idhar udhar bhi hoga mana ye ki dil hai us ka patthar patthar mein nihan sharar bhi hoga hansne de use lahad pe meri ek din wahi nauhagar bhi hoga nala mera gar koi shajar hai ek roz ye barwar bhi hoga nadan na samajh jahan ko ghar is ghar se kabhi safar bhi hoga mitti ka hi ghar na hoga barbaad mitti tere tan ka ghar bhi hoga zulfon se jo us ki chhaegi raat chehre se ayan qamar bhi hoga gali se na dar jo den wo bosa hai nafa jahan zarar bhi hoga rakhta hai jo panw rakh samajh kar is rah mein nazr sar bhi hoga us bazm ki aarzu hai bekar hum sun ka wahan guzar bhi hoga 'shahbaz' mein aib hi nahin kul ek aadh koi hunar bhi hoga