kis mohabbat se ye hijrat ke nishan dekhti hai

kis mohabbat se ye hijrat ke nishan dekhti hai
raunaq-e-duniya meri aankh jahan dekhti hai

nind diwar pe baithi hai parinde ki tarah
mustaqil basne se pahle wo makan dekhti hai

koi chingari tere aane se shayad bhadke
rakh hoti hui ummid dhuan dekhti hai

dil ka ye shahr bhi lahore hua jata hai
is jahangir ko ek nur jahan dekhti hai

aankh to aankh hai phir khwab saja leti hai
ye meri dhalti hui umr kahan dekhti hai

hazrat-e-josh ke diwan ka jab zikr chale
kitni hasrat se hamein urdu zaban dekhti hai

ab kisi mod pe rukne ka tasawwur bhi muhaal
meri wahshat teri majburi kahan dekhti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close