kitne jumle hain ki jo ru-posh hain yaron ke bich hum bhi mujrim ki tarah khamosh hain yaron ke bich kya kahen kis ne bahaaron ko khizan-saman kiya dekhne mein to sabhi gul-posh hain yaron ke bich ye bhi sach hai ghar ke bhedi ne kiya ghar ko tabah ye bhi lagta hai ki sab nirdosh hain yaron ke bich kya pata kab khun ka pyasa yahan ho jae kaun yun to kahne ko sabhi mai-nosh hain yaron ke bich han chala ab saqiya jadu bhari nazron ke tir hum bhi dekhen kis qadar zi-hosh hain yaron ke bich bazm-e-yaran hai ye saqi mai nahin to gham na kar kitne hain jo mai-kada bar-dosh hain yaron ke bich 'tarz' padhta hai koi jab jhum kar nazm o ghazal aisa lagta hai 'firaq' o 'josh' hain yaron ke bich