kya kahun kaise karishme dekhe

kya kahun kaise karishme dekhe
main ne aawaz ke sae dekhe

meri hijrat hi na likkhi ho kahin
main ne khwabon mein parinde dekhe

teri aankhon mein the jugnu raqsan
apni palkon pe sitare dekhe

main ne jate hue dekha tujh ko
tujh ko takte hue raste dekhe

jin ki palkon pe sahife utren
main ne kuchh aise bhi chehre dekhe

wasl walon ki aziyyat dekhi
hijr walon ke saliqe dekhe

muskurahat nahin dekhi meri
tu ne bas panw mein chhaale dekhe

jis ne mathe pe rakhi hon aankhen
wo koi aadmi kaise dekhe

jis ne dekha na ho darwesh 'safi'
wo mere ghar kabhi aae dekhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close