kya khabar kab nind aae dida-e-be-khwab mein sham se hum jal rahe hain saya-e-mahtab mein ab tumhaari yaad se padte hain yun dil mein bhanwar jaise kankar phenk de koi bhare talab mein jis gali mein ghar tumhaara hai karo us ka khayal hum to hain badnam apne halqa-e-ahbab mein ahl-e-dil jate the pahle sirf maqtal ki taraf khud-kushi bhi ab hai shamil ishq ke aadab mein yun kisi ka pyar aaghosh-e-hawas mein ja chhupa koi lasha jis tarah lipta hua kam-khab mein rahmat-e-yazdan se mangi hum ne do chhinton ki bhik wo hua jal-thal ki basti bah gai sailab mein gardish-e-dauran ki zad mein yun hai apni zindagi jaise chakraati ho kashti halqa-e-girdab mein wadi-e-sarban mein thin jo mehrban mujh par 'qatil' wo bahaaren dhundhti hain ab mujhe punjab mein