us se bichhad ke bab-e-hunar band kar diya hum jis mein ji rahe the wo ghar band kar diya shayad khabar nahin hai ghazalan-e-shahr ko ab hum ne jangalon ka safar band kar diya apne lahu ke shor se tang aa chuka hun main kis ne ise badan mein nazar-band kar diya ab dhund aur qadr-shanasan-e-rang-o-bu hum ne ye kaam ai gul-e-tar band kar diya ek ism-e-jaan pe dal ke khak-e-faramushi andhe sadaf mein hum ne guhar band kar diya