kya puchhte ho haal-e-dil-e-be-qarar aaj jo kal thi hai wo gardish-e-lail-o-nahaar aaj us paikar-e-jafa ko na kos ai dil-e-hazin teri tarah hai wo bhi bahut be-qarar aaj mere hi dam se rah gaya mai-khane mein bharam warna janab-e-shaikh ko milta udhaar aaj us ne likha hai bahr-ayaadat kal aaenge jine bhi dega mujh ko dil-e-be-qarar aaj kis mast ki dua hui maqbul-e-bargah aaya hai jhum jhum ke abr-e-bahaar aaj mere liye kahin bhi jahan mein sukun nahin le kar kahan chala hai dil-e-be-qarar aaj us gul ne jaane kya mere bare mein kah diya guzri hai mujh se kat ke nasim-e-bahaar aaj ye faiz hai 'tabib'-o-'qatil' aur 'zar' ka 'asi' jo shairon mein hai tera shumar aaj