kyun chalti zamin ruki hui hai kya mere tain ruki hui hai sae ko rawana kar diya hai diwar kahin ruki hui hai khwabon se udas ho ke tabir palkon ke qarin ruki hui hai mausam ka lihaz hai hawa ko yunhi to nahin ruki hui hai main aate dinon se ja mila hun duniya to wahin ruki hui hai