mai-khana hai bina-e-shar-o-khair to nahin ai shaikh-o-barahman haram-o-dair to nahin qasid ko tak raha hun bajae jawab-e-khat kambakht ye na kah de kahin khair to nahin apnon ka shikwa kis liye aae zaban par ahbab ke sitam sitam-e-ghair to nahin aapas mein kyun hain bar-sar-e-paikar ahl-e-shahr dekho yahan kahin haram-o-dair to nahin ai shaikh sirf shikwa-e-pindar zohd hai warna mujhe janab se kuchh bair to nahin mahw-e-khiram ghuncha-o-gul dekh-bhaal kar pamali-e-bahaar hai ye sair to nahin banda-nawaz aap aur izhaar-e-shukriya 'ejaz' aap ka hai koi ghair to nahin