marhale zist ke dushwar nahin diwano

marhale zist ke dushwar nahin diwano
मावरा-ए-रसन-ओ-दार nahin diwano

kya karoge dil-e-pur-khun ki hikayat sun kar
ye hadis-e-lab-o-rukhsar nahin diwano

aaj kyun pand-gar-e-waqt ki taqriron mein
lazzat-e-shokhi-e-guftar nahin diwano

khaka-e-zehn pe ubhre to koi naqsh-e-jamil
band darwaza-e-inkar nahin diwano

kya karoge mah-o-anjum pe jama kar nazren
mehr-e-geti hi ziya-bar nahin diwano

pursish-e-haal mein ehsas-e-takalluf kaisa
koi saya pas-e-diwar nahin diwano

koi raushan to kare sham-e-shabistan-e-khayal
munjamid chashma-e-anwar nahin diwano