shahr ka shahr harif-e-lab-o-rukhsar mila nam mera hi likha kyun sar-e-diwar mila sochte sochte dhundla gae yaadon ke nuqush fikr ko mere na ab tak lab-e-izhaar mila mushtahar kar diya itna teri chahat ne mujhe nam ghar ghar mein mera surat-e-akhbar mila jis ki qurbat ko tarasta tha zamana kal tak aaj wo shakhs akela sar-e-bazar mila meri sachchai ko is waqt saraha tu ne sar pe jab bandh ke main jhut ki dastar mila aankhon aankhon hi mein lahraen bahaaren 'manzar' ek shajar bhi na bhare bagh mein phaldar mila