mere khayal ka saya jahan pada hoga ba-rang-e-rang-e-tilism-e-rawan pada hoga wafur-e-yas mein ummid jab jali hogi samay ki aankh mein kuchh to dhuan pada hoga utar gai jo andheron mein hans ke us pahli kiran ka panw na jaane kahan pada hoga shuur-e-nau ke jab aaine ud rahe honge ajib aks-e-mah-o-kahkashan pada hoga har aah-e-sard labon tak pahunch gai hogi har aah-e-sard ka dil par nishan pada hoga kise khabar thi ki gulchin ki qaid mein ek din gulon ke samne khud baghban pada hoga qasam teri mere maula wo din qarib hai jab zamin ke panw tera aasman pada hoga