muddaton se jo moattar tha wo daftar kat kar zard mausam likh diya satar-e-gul-e-tar kat kar dida-e-bina ki khatir tha jo saman-e-nashat reza reza kar diya kis ne wo manzar kat kar koi khidki hi nazar aai na darwaza mila thak gae hain panw diwaron ke chakkar kat kar daman-e-shab mein hain kitne phul kya us ko khabar so gaya koh-e-mashaqqat ko jo din-bhar kat kar kho gaya hai aadmi be-chehragi ke dasht mein le uda hai waqt aainon ke jauhar kat kar yun kiya aazad zanjir-e-talluq se mujhe chhod de jaise koi tote ke shah-par kat kar chahte hain sab ko be-mehnat mile shirin hamein kaun ab laega ju-e-shirin patthar kat kar tab kahin paya kisi ne us ki manzil ka pata jab masafat qata ki khud ko sarasar kat kar tirgi mein tha jo 'mahir' sham-e-raushan ki misal khak par phenka hai kis zalim ne wo sar kat kar