mujhse bazi le gaya phir ba-KHuda mera nasib

mujh se bazi le gaya phir ba-khuda mera nasib
main sisakta rah gaya hansta raha mera nasib

zindagi ke nam par jab zindagi mujh ko mili
imtihan-dar-imtihan likkha gaya mera nasib

main to rishton ki tamazat se jhulas kar rah gaya
aur us par tir ki surat laga mera nasib

kya samajhta main bhala mahdud hun apne tain
ki saza hai ya kisi ki bad-dua mera nasib

hasraton ne la ke phenka jab mujhe bazar mein
boliyan lagti rahin bikta raha mera nasib

chaak par kuza-gari ke baad us khattat ne
hath ki uljhi lakiron par likha mera nasib

jab kahin ghera ghamon ki aandhiyon ne ba-khuda
daldalon mein le ke mujh ko gir pada mera nasib

kab talak pita rahun ai zindagi main jam-e-gham
kab talak mujh se rahe ka yun khafa mera nasib

ek qadam main ne uthaya tod kar zanjir-e-pa
bichh gaya kanton ki surat ja-ba-ja mera nasib

hai sabab mauj-e-'nasimi' ki rawani ka yahi
dastaras mein jo nahin mere khuda mera nasib


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close