qais jangal mein akela hai mujhe jaane do

qais jangal mein akela hai mujhe jaane do
khub guzregi jo mil baithenge diwane do

lal dore teri aankhon mein jo dekhe to khula
mai-e-gul-rang se labrez hain paimane do

thahro tewri ko chadhae hue jate ho kidhar
dil ka sadqa to abhi sar se utar jaane do

mana kyun karte ho ishq-e-but-e-shirin-lab se
kya maze ka hai ye gham dosto gham khane do

hum bhi manzil pe pahunch jaenge marte khapte
qafila yaron ka jata hai agar jaane do

sham o parwana na mahfil mein hon baham zinhaar
shama-ru ne mujhe bheje hain ye parwane do

ek aalam nazar aaega giraftar tumhein
apne gesu-e-rasa ta-ba-kamar jaane do

sakht-jaani se main aari hun nihayat ai 'talkh'
pad gae hain teri shamshir mein dandane do

hashr mein pesh-e-khuda faisla is ka hoga
zindagi mein mujhe us gabr ko tarsane do

gar mohabbat hai to wo mujh se phirega na kabhi
gham nahin hai mujhe ghammaz ko bhadkane do

josh-e-barish hai abhi thamte ho kya ai ashko
daman-e-koh-o-bayaban ko to bhar jaane do

waizon ko na kare mana nasihat se koi
main na samjhunga kisi tarah se samjhane do

ranj deta hai jo wo pas na jao 'sayyah'
mano kahne ko mere dur karo jaane do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close