nazar mein koi manzil hai na jada chahta hun safar chahe koi ho be-irada chahta hun khushi ka kya khushi mein chahe kuchh takhfif kar do mata-e-gham ziyaada se ziyaada chahta hun mera mafhum aasani se khul jae jahan par main apna lahja-e-izhaar sada chahta hun meri nazron ko wusat do-jahan ki dene wale main daman-e-takhayyul bhi kushada chahta hun qayaadat mujh pe nazan thi kabhi manzil-ba-manzil aur ab khud hi qayaadat jada jada chahta hun bahut talkhi bhare haalat mein jina pada hai isi talkhi ki khatir talkh baada chahta hun main khud pahunchun ki mere qadmon mein chali aai ba-har-surat main takmil-e-irada chahta hun musalsal chahiye ki baat hai aur barmala hai sawal is ka nahin kam ya ziyaada chahta hun jahan-e-tang ki tangi se mera kya ilaqa wasi-ul-qalb hun duniya kushada chahta hun tere daman-kashan rahne ka matlab kya hai mujh se yahi to hai ki main tujh ko ziyaada chahta hun alag tashkil dena chahta hun apni manzil 'waqar' apne liye makhsus jada chahta hun