ponchh kar ashk apni aankhon se muskurao to koi baat bane

ponchh kar ashk apni aankhon se muskurao to koi baat bane
sar jhukane se kuchh nahin hota sar uthao to koi baat bane

zindagi bhik mein nahin milti zindagi badh ke chhini jati hai
apna haq sang-dil zamane se chhin pao to koi baat bane

rang aur nasl zat aur mazhab jo bhi hai aadmi se kamtar hai
is haqiqat ko tum bhi meri tarah man jao to koi baat bane

nafraton ke jahan mein hum ko pyar ki bastiyan basani hain
dur rahna koi kamal nahin pas aao to koi baat bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close