jald husn-o-jamal jata hai nahin rahta ye haal jata hai jab talak dekhta nahin us ko dil mein kya kya khayal jata hai kaun se waqt arz-e-haal karun wo to har waqt tal jata hai jis ka hota hai gham se dil bhaari wo tere dar pe dal jata hai sarson aankhon mein kyun na phule ab zard odhe do-shaal jata hai saf samjha nahin mujhe aashiq baat kahte sambhaal jata hai jaan deta hun jald dekhun to nama-bar kaisi chaal jata hai nukta-chinon ne kuchh kaha to kya koi is mein kamal jata hai kuchh rihai nazar nahin aati yun hi ab ka bhi sal jata hai aah misl-e-shab-e-jawani jald kya ye roz-e-visal jata hai dilbari wo sanam kare meri kuchh bhala ehtimal jata hai yun khuda ki khudai hai mamur par kab apna khayal jata hai tu to khush ho 'hasan' ke jaane se tera ranj-o-malal jata hai