raaz-e-tauhid to kasrat mein chhupa hai ai dost

raaz-e-tauhid to kasrat mein chhupa hai ai dost
saikdon jalwe hain ek jalwa-numa hai ai dost

ek zamana yahan diwana bana hai ai dost
tere kuche ki hawa hosh-ruba hai ai dost

ishrat-e-hasil-e-isyan mein kahan wo lazzat
ba-khuda tark-e-gunah mein jo maza hai ai dost

surma-e-tur ho ya khak-e-shifa ya iksir
sab se badh kar teri khak-e-kaf-e-pa hai ai dost

kya karen jaan na de den jo mohabbat wale
har ada husn ki paigham-e-qaza hai ai dost

tu ne kis aisi nigahon se azal mein dekha
aaj tak khauf se dil kanp raha hai ai dost

qail-e-hashr-o-qayamat to sabhi hain lekin
tere wade ka yaqin kis ko hua hai ai dost

jaanta kaun nahin ahd-e-wafa ko tere
wo bhi minjumla-e-andaz-e-jafa hai ai dost

us zamin par kiya karte hain farishte sajde
tere kushton ka jahan khun baha hai ai dost

gham tere jalwon mein ho jati hain nazren un ki
dekhne walon se tere ye suna hai ai dost

taj-e-khusraw se gharaz us ko na takht-e-jam se
'afqar'-e-khak-nashin tera gada hai ai dost


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close