ganwa ke dil sa guhar dard-e-sar kharid liya bahut garan tha ye sauda magar kharid liya amin-e-ishq ne dil-e-be-khatar kharid liya ye aaina ma-e-aina-gar kharid liya ghazab tha ishq ka sauda ki ahl-e-hosh ne bhi jo kuchh nasib tha sab bech kar kharid liya bhala ho gham ki tunuk-zarfi-e-tabiat ka agarche baat ganwa di asar kharid liya rah-e-raza mein hai khuni-kafan se shan-e-shahid to jaan bech ke rakht-e-safar kharid liya jo dil kahe na kahun wo jo tu kahe wo kahun to kya zamir bhi ai hila-gar kharid liya talash-e-aish mein ai 'arzu' hai ranj hi ranj sitam-nasib ye kya dard-e-sar kharid liya