rasta der tak sochta rah gaya

rasta der tak sochta rah gaya
jaane wale ka kyun naqsh-e-pa rah gaya

aaj phir dab gain dard ki siskiyan
aaj phir gunjta qahqaha rah gaya

ab hawa se shajar kar raha hai gila
ek gul shakh par kyun bacha rah gaya

jhut kahne laga sach se bachne laga
hausle mit gae tajraba rah gaya

hanste gate hue lafz sab mit gae
aansuon se likha hashiya rah gaya

waqt ki dhaar mein bah gaya sab magar
nam diwar par ek likha rah gaya

us ke dam se kahe sher main ne 'hilal'
phul is dhup mein jo khila rah gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close