rukne ke liye dast-e-sitam-gar bhi nahin tha afsos kisi hath mein patthar bhi nahin tha bahar jo nahin tha to koi baat nahin thi ehsas-e-nadamt magar andar bhi nahin tha jannat na mujhe di to main dozakh bhi na lunga momin jo nahin tha to main kafir bhi nahin tha lauta jo watan ko to wo raste hi nahin the jo ghar tha wahan wo to mera ghar bhi nahin tha anjam to zahir tha safen tut chuki thin salar-e-muazzaz sar-e-lashkar bhi nahin tha afsos qabile pe khula ghair ke hathon sardar ke pahlu mein to khanjar bhi nahin tha jo baat kahi thi wo bahut saf kahi thi dil mein jo nahin tha wo zaban par bhi nahin tha ye sach hai qasida na 'hilal' ek bhi likkha ye sach hai ki main shah ka naukar bhi nahin tha