rata hai abruwan par hath aksar lawabaali ka hunar sikha hai us shamshir-zan ne bed-e-mali ka har ek jo uzw hai so misra-e-dilchasp hai mauzun magar diwan hai ye husn sar-ta-pa jamali ka nagin ki tarah dagh-e-rashk sun kala hua lala liya jab nam gulshan mein tumhaare lab ki lali ka raqiban ki hua nachiz baatan sun ke yun bad-khu wagarna jag mein shohra tha sanam ki khush-khisali ka hamare haq mein nadani sun kahna ghair ka mana gila ab kya karun us shokh ki main khurd-sali ka yahi charcha hai majlis mein sajan ki har zaban upar mera qissa goya mazmun hua hai sher-e-haali ka tumhaara qudrati hai husn aaraish ki kya hajat nahin muhtaj ye bagh-e-sada-sarsabz mali ka lage hai shirin us ko sari apni umr ki talkhi maza paya hai jin aashiq nin tere sun ke gali ka mubarak nam tere 'abru' ka kyun na ho jag mein asar hai yu tere didar ki farkhunda-fali ka