raunaq-e-kucha-o-bazar hain teri aankhen

raunaq-e-kucha-o-bazar hain teri aankhen
log sauda hain kharidar hain teri aankhen

kya yunhi jazib-o-dildar hain teri aankhen
khaliq-e-husn ka shahkar hain teri aankhen

ye na hotin to kisi dil mein na tufan uthta
shauq-angez o fusun-kar hain teri aankhen

teri masumiyat-e-dil ka pata deti hain
teri mahbubi ka iqrar hain teri aankhen

jam-o-mina ki tarah khud hi chhalak jati hain
kitni makhmur hain sarshaar hain teri aankhen

un ki taqdis pe ho azmat-e-maryam bhi nisar
kaun kahta hai gunahgar hain teri aankhen

palken bojhal hain madhur nind ke mare lekin
jaane kya baat hai bedar hain teri aankhen

jaise sawan ki ghata tut ke barse ai dost
aaj kuchh aise guhar-bar hain teri aankhen

mere mahbub-e-dil-awez bata de itna
mujh se kis shai ki talabgar hain teri aankhen

hasraten dil mein liye dub raha hai 'dauran'
mauj-dar-mauj hain manjdhaar hain teri aankhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close