tariki mein dip jalae insan kitna pyara hai rahen dhunde manzil pae insan kitna pyara hai waqt-e-musibat aansu ponchhe hamdardi ki baat kare tute dil ko aas dilae insan kitna pyara hai mange sau sau tarah muafi chhoti si ek bhul ki bhi apni khataon par sharmae insan kitna pyara hai dil ki dhadkan dil mein samoe git ki lai ijad kare mahfil mahfil saz bajae insan kitna pyara hai laila-e-khud-agah ki dhun mein daman phade qais bane sahra sahra khak udae insan kitna pyara hai le ke harim-e-naz us ke shirin shirin naghmon ko 'dauran' ki tauqir badhae insan kitna pyara hai