saha umr bhar par jataya nahin

saha umr bhar par jataya nahin
tera zakhm hum ne dikhaya nahin

azal se khade hain wafaen liye
kisi ne hamein aazmaya nahin

mila saf-goi ka hum ko sila
gale se kisi ne lagaya nahin

hamara hi dukh hai uthaenge hum
hai ye bojh apna paraya nahin

safar zindagi ka raha is tarah
kadi dhup thi aur saya nahin

jhuka hai to bas bandagi mein teri
kahin aur sar ye jhukaya nahin

bahut bha rahi hai na ulfat tumhein
ye dhoka abhi tum ne khaya nahin

yun 'wahid' to itna bura bhi na tha
tujhe zindagi ne nibhaya nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close