safar mein ab nahin par aabla-pai nahin jati hamari raston se yun shanasai nahin jati rahen hum mahfilon mein ya rahen duniya ke mele mein akela chhod kar lekin ye tanhai nahin jati nigahon ke ishaare bhi mohabbat bhi alamat hain sabhi baaten zabani hi to batlai nahin jati badi nazuk si hai dori ye rishton ki bataun kya ulajh ek bar gir jae to suljhai nahin jati lagae koi bhi kitne yahan chehron pe chehre hi haqiqat aaine se phir bhi jhutlai nahin jati na jaane khwab hain kitne tamannaen khilaunon si magar ye zindagi un se to bahlai nahin jati kahani zindagi ki yun to dilkash hai magar 'wahid' koi ek bar jo padh le to dohrai nahin jati