sham ke maskan mein viran mai-kade ka dar khula

sham ke maskan mein viran mai-kade ka dar khula
bab guzri sohbaton ka khwab ke andar khula

kuchh na tha juz khwab-e-wahshat wo wafa is ahd ki
raaz itni der ka is umr mein aa kar khula

ban mein sargoshi hui aasar-e-abr-o-baad se
band-e-gham se jaise ek ashjar ka lashkar khula

jagmaga uttha andhere mein meri aahat se wo
ye ajab us but ka meri aankh par jauhar khula

sabza-e-nau-rasta ki khushbu thi sahil par 'munir'
baadalon ka rang chhatri ki tarah sar par khula


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close